apna android mobile root kare 4 method se




Waise to android mobile root karna koi mushkil kaam nahi hai but internet par jo one click root ke methods diye gaye hote hai wo kisi particular mobile ko root karne me to successful hote hai par sabhi mobile isse root nahi ho pate....

To aaj mai apke liye rooting ki kuch asee tricks laya hu jisse ap apna mobile easily root kar loge

Rooting kya hai

Aaj ham baat karre hai android mobile root karne ki to jaisa ki apko pta hoga ki har android operating sysyem ki apni limitations hoti hai.  Jaise

1- jaise agar apka android kitkat version hai to kuch software aise hote hai jo apse updated version mangte hai  LIKE :- wps/wpa tester (supported only 5.1 lollipop or marshmallow version)

2- or jaise ap kali linux android mobile ke install ni kar sakte etc...

Android mobile me asee hi bhut sari limitations hoti hai

To rooting ka matlab hai in sab limitations ko khatam karna....

Rooting ke fayde:-

Android mobile root karne ke bhut fayde hai unme se kuch important advantages mai apko btata hu

1- root karne ke baad ap apni internal memory or apni ram ko increase kar sakte ho

2- apke mobile me jo pre-installed apps hote hai jinhe ap uninstall ni kar pate..root karne ke baad unhe ap uninstall kar sakte ho.

3- kuch ase apps ko bhi ap install kar sakte ho jo sirf rooted mobiles ke liye hote hai like wifi hacking software.


4- root karne ke baad ap bhut kuch hack kar sakte ho jaise wifi hacking , games hacking etc

5- root karne ke bad ap apni battery life bhi increase kar sakte ho or world's best hacking software linux bhi install kar sakte ho...


Rooting ke nuksan:-


Rooting se hone wale kuch jyada nuksaan to ni hai par root karne ke baad apke mobile ki warranty khatam ho jayegi.. Or agar apne system location me jaake kuch bhi ched chaad kari to apka mobile dead bhi ho sakte hai....

Par tension lene wali koi baat ni hai agar apko koi bhi problem ho to ap hame bata sakte ho....

Note:- 
Dhyan rakhe ki root karte time apki battery 60% se upar charge honi chaiye

Ab jante hai ap apna mobile root kaise kare..


1- framaroot se mobile root kaise kare..

Frameroot one click root software hai jisse ap aasani se apna android mobile root kar sakte ho or iski khaas baat ye hai ki ye lagbhag har android mobile ko root kar chuka hai...

1- sabse pehle apko niche di gyi link se framaroot application install karni hai.


2- Iske baad framaroot ko open karna

 Ab aap yanha par dekhenge ki aapko
exploit select karna padega,agar aapko iske
baare me koi idea nhi hai to pehle aap isko
ek ek kar select karke check karna.  
pehle install superSU check karna
agar isse na ho to dursa check karna ,aapka
phone rooted ho rha ki nhi.

3- iske baad apko niche root button par click karna hai....thodi hi der me apka mobile successfully root ho jayega..

4- root hone ke baad apke pas successfully rooted ka message aa jayega ....ab apna mobile switch off karke on kare.....

Apka mobile root ho jayega....



2- kingroot se mobile kaise root kare.

Kingroot bhut hi famous software hai mobile root karne ke liye ....kingroot se 98% android mobiles root ho jate hai..

1- sabse pehle apko niche di gyi lino se king root application install karni hogi


2- kingroot install karne ke baad open kare....open karte hi homepage par option hoga ROOT...uspe click kar dena

3- ab apki rooting process start ho jayegi ....kuch hi seconds me apki processing complete ho jyegi or apka mobile successfully root ho jayega

Ab ap apna restart kare or rooting ka fayde uthaye...

3- Towel root se mobile kaise root kare:-

Ye software mainly android 4.4.2 kitkat ko root karne ke liye bnaya gya hai....iski help se ap lagbhag sabhi samsang smartphones root kar sakte ho..

1- sabse pehle ap towel root ki application download kare niche diye link se


2- ab app ko open kare

3- yaha apke pas ek option hoga make it Ra1n ...bas isi par click kar dena..

4- kuch seconds wait karna agar apka mobile Towel root ke liye compatible hoga to apka mobile kuch der me successfully root ho jayega..


4- Computer se apna mobile root kare:-

Agar upar diye gaye sabhi methods se bhi apka mobile root ni hua to tension lene wali koi baat nahi is method me aap computer ki help se apna koi bhi android smartphone root kar sakte ho...

Is method to try karne se pehle apko apne mobile ka USB DEBUGGING  on karna hoga

1- agar apka android mobile 2.3 ya isse jyada hai to sabse pehle setting par jaye fir application par jaye fir Development. Par click kare or fir Usb debugging ko on kar den...

Setting < apps < development < usb debugging

2- Aur agar android 3.0 to 4.1 ho tab
sabse pehle setting me jana iske baad
Developer option par jana aur waha
par usb debugging par tik kar dena..

Setting < developer < usb debugging

3- agar apka android mobile 4.2 ya usse upar hai to  sabse pehle setting par jana fir about phone par click karna or fir build number wale option par click karte rehna jab tak ki ye likha naa aa jaye you are under developer mode  iske bad dubara setting me aana ...yaha apko ek option mil jayega developer mode ka or ispe jake usb debugging ko on kar dena....



Ab jante hai computer ki help se kaise mobile root kare..

1- sabse pehle apko niche di gayi link se rootGenius  naam ki application ko download karna hai


2- apko ye software apne computer me install karke open karna hai

3- or apne mobile ko USB cable se apne computer se connect karna hai.

4-  Ab jaise hi aapka phone computer me
sahi se connect ho jayega RootGenius apne
aap hi aapke phone ki homescreen par show karne lagega..

5- iske bad rootGenius me ROOT ki option hogi uspe click kar dena...

6- ab kuch hi der ke apka mobile successfully root ho jayega or apke mobile me king user naam ki ek app aa chuki hogi...iska matlab apka mobile successfully root ho chuka hai...


Yaha btaye gaye sare method working or tested hai ..agar apko isse related koi bhi pareshani hai to ap hame comments me bata sakte hai


Agar apko ye post pasand aayi ho to please ise share jarur kare..

Enjoy

Visit daily
Tricks lootx

Posted by 
Rohit pandey

Previous
Next Post »

2 comments

Click here for comments

Out Of Topic Show Konversi KodeHide Konversi Kode Show EmoticonHide Emoticon

Note: only a member of this blog may post a comment.

Thanks for your comment